Monday, March 23, 2009

Ghazal #2 :Khurshidul Hasan Naiyer

:ek khwaab-e-shikastah kee ta'beer naz^ar aaee
:shaayad keh bahaar aaee zaNjeer naz^ar aaee:
haaN raaz-e-muHabbat kee tanweer naz^ar aaee
har saaNs taRapne kee taa,ceer naz^ar aaee
pur dard Ghazal lekar ham bazm meiN aae haiN
hamko too muHabbar jab dil geer naz^ar aaee
jab khoon-e-tamanna se sajne lagee deewaareN
tab dast-e-Hinaaee meN shamsheer naz^ar aaee
woh bazm-e-muHabbat ho yaa razm gah-e-ulfat
jis jaae too gayaa meree ta'meer naz^ar aaee
alHamd a't^aa teree teraa hai karam mujhpar
har zarre mieN bas teree taSweer naz^ar aaee
har gaam sitam gar ko aaeenah dikhaaeNge
:Naiyer: ko yahee bas ek tadbeer naz^ar aee

No comments:

Post a Comment