Tuesday, March 24, 2009

Ghazal

is qadar insaan kyuN majboor hai
hoNT par muskaan dil ranjoor hai
jalwa-e-jaanaaN huwaa kaafoor hai
phir bhee yeh dil aas se ma'moor hai
jis ke dil meiN aaNch-e-Gham bharpoor hai
use ke chehre par numaayaaN noor hai
rukh shaguftah hoNt-o-lab makhmoor hai
waSf-e-maikhaanah kahaaN mastoor hai
dil meiN bebas ke machaltaa ek khayaal
shama' hai roshan magar be noor hai
phool ham tak aagayaa aye hamnasheeN
tum ne jo phekaa thaa patthar door hai
chaNd tare unkee zulfoN meiN sajaae,N
yeh kahaaN "Naiyer" meraa maqdoor hai.

2 comments:

  1. Hai ghazal Naiyer ki yeh pur soz jo
    soz o saaz e ishq se maamoor hai
    Mulhlis
    Ahmad Ali Barqi Azmi

    ReplyDelete
  2. aap kaa aHmad A'li Barqi bahut
    dil meraa mamnoor or mashkoor hai

    ReplyDelete