Sunday, December 20, 2009

Sunday, July 19, 2009

Tuesday, June 9, 2009

Saturday, May 16, 2009

.ग़ज़ल: ख़ुर्शीदुल हसन नैय्यर

चमन में जो बहार है गुलों पे जो निखार है
तेरी निगाह का असर तेरे लबों का प्यार है
भिगो गई है जो फ़ज़ा हवा जो मुश्कबार है
ये ज़ुल्फ़े-यार की महक वो चश्म-ए-आबदार है
उफ़क़ पे जो धनक चढ़ी शफ़क़ का जो सिंगार है
यही है ओढ़नी का रंग, यही जो हुस्न-ए-यार है
न नींद आँख में रही न दिल पे इख़्तियार है
मेरे लिए भी क्या कोई उदास बेक़रार है
झुकी नज़र ख़मोश लब अदाओं में शुमार है
इन्हीं अदा-ए-दिलबरी पे जान-ओ-दिल निसार है
किसी से इश्क़ जब हुआ तो हम पे बात ये खुली
जुनूँ के बाद भी कोई मकाँ कोई दयार है
सुना कि बज़्म में तेरी मेरा भी ज़िक्र आएगा
तो ख़ुश हुआ कि दोस्तों में मेरा भी शुमार है
‘हसन’ की है ये आरज़ू कि उनसे जा कहे कोई
तेरी अदा पे जाने मन ग़ज़ल का इन्हेसार है

Saturday, April 18, 2009

Sunday, April 5, 2009

aa mere bazm meiN aa phir keh Ghazal kahnee hai
ek nayaa zakhm lagaa phir keh Ghazal kahnee hai
zindagee kaT nah sake gee meree khaamoshee meiN
koi,y deewaar giraa phir keh Ghazal kahnee hai
aye Ghazal HaZrat-e-A'aajiz ke niraale dhun meiN
chaNd asha'aar sunaa phir ke Ghazal kahnee hai
aye muSawwir jo meree aaNkh meiN hai a'ks-e-Ghazl
waisee taSweer banaa phir keh Ghazal kahnee hai
surmai,y abr ke aaNchal meiN chupaa chaaNd zaraa
rukh-e-roashan ko dikhaa phir keh Ghazal kahnee hai
HoSlah teraa tujhe sach naheeN kahne degaa
koi,y tohmat hee lagaa phir keh Ghazal kahnee hai

Friday, April 3, 2009

ग़ज़ल : ख़ुर्शीदुल हसन नय्यर

ग़ज़ल
ख़ुर्शीदुल हसन नय्यर
हैँ आबाद सब क़ैदख़ाने तेरे
यह आँखेँ तेरी ज़ुल्फो शाने तेरे

हुए रिंदो साक़ी दिवाने तेरे
शराबैँ तेरी बादह ख़ने तेरे

यह उशवा यह ग़मज़ा यह नाज़ो अदा
लुभाने के हैँ सब बहाने तेरे

बिछे जाते हैँ तायर-ए-इश्क़ ख़ुद
ख़ता कैसे होते निशाने तेरे

ग़ज़ल मैँ पढूँगा तो याद आएँगे
जवानी के सपने सुहाने तेरे

न होता मेरे ग़म का गर तज़केरा
न मशहूर होते फसाने तेरे

वही संगसारी मे शामिल हुए
जो अपने थे नय्यर बेगाने तेरे

Monday, March 30, 2009

guzaarish #50 ke liye meree koshish:Tarhi Ghazal

muHtarmeenadaabt^rHee Ghazal pesh khidmat hai
dard-o-Gham, ranj-o-alam, Harmaai,yaaN
zindagee in sab ki hai parchhaai,yaaN
ho gai, rukhSat muHabbat bazm se
nafrtoN kee baj raheeN shahnaai,yaaN
khoaf kaisaa ho mujhe dushnaam kaa
i'shq meiN purkaif haiN ruswaai,yaaN
she'r goi, kaa hunar usne diyaa
saath hee woh de geyaa tanhaai,yaaN
faSl-e-gul aai, to yaad aai, mujhe
mehrbaaN teree karam farmaai,yaaN
qaid haiN sab waqt kee zanjeer meiN
jalwae, jaanaaN hoN ke ra'naai,yaaN
ghaT gayaa ab dard-e-dil i'shq-o-t^alab
baRh gai,N par anjuman aaraai,yaaN
dil kaa hay yeh ma'mlah :Naiyer: miyaaN
kuchh nah kaam aae,Ngee yaaN daanaai,yaan
Allah Hafiz
Khurshidul Hasan Naiyer

Sunday, March 29, 2009

Saturday, March 28, 2009

तरही ग़ज़ल-कभी एक़रार चुटकी मेँ कभी इंकार चुटकी मेँ

तरही ग़ज़ल-कभी एक़रार चुटकी मेँ कभी इंकार चुटकी मेँ
ख़ुर्शीदुल हसन नय्यर
सऊदी अरब

किए हैँ आज मौज़ूँ मैँने कुछ अशआर चुटकी मेँ
दिली जज़बात का होने लगा इज़हार चुटकी मेँ

कभी बरसोँ गुज़र जाता है देखे प्यार का मौसम
कभी आ जाती है फसले बहार-ए-प्यार चुटकी मेँ

मसीहा बन के तुम आ जाओ जो ख़्वाबोँ की दुनिया मेँ
शेफा पा जाएगा मेरा दिले बीमार चुटकी मेँ

वह शोख़ी याद है जाने तमन्ना तुमसे मिलने की
कभी एक़रार चुटकी मे कभी इंकार चुटकी मेँ

किया है किश्ते दिल की आबयारी अश्क से बरसोँ
नहीँ होता है कोई भी चमन गुलज़ार चुटकी मेँ

नहीँ है साथ कोई मुफलिसी मेँ पर यकीँ जानो
जो माल आया तो बन जाएँगे कितने यार चुटकी मेँ

तुमहारी बेरुख़ी पर हो गया बेचैन पल भर मेँ
मगर फिर गुफतगू से हो गया सरशार चुटकी मेँ

कहीँ टूटे न यह दिल आइना है यह मोहब्बत का
सो उसकी बात का नय्यर किया एक़रार चुटकी मेँ


शेफा पा जाएगा-अच्छा हो जाएगा, किश्ते दिल-दिल की खेती, आबयारी-सीँचाई,ससरशार-ख़श

Thursday, March 26, 2009

Ghazals :Khurshidul Hasan Naiyer

Ghazal :Khurshidul Hasan Naiyer
kisee kee ek i'naayat ho gae,i hai
unheN ham se shikaayat go gae,i hai
nah puchho lut^f tanhaae,i kaa yaaro
hameiN jab se muHabbat ho gae,i hai
chalaa chal jaanib-e-manzil tu aye di
l nigaahoN kee shafaaa't ho gae,i hai
taSawwur se tere aye jaan-e-jaanaaN
mo't^t^ar meree khilwat ho gae,i hai
saNbhaalo sheesha-e-dil ko saNbhaalo
naz^ar uThne kee saaa't ho gae,i hai
tere rukhsaar ke fiqre sunaa dooN?
mukammal ab tilaawat ho gae,i hai
haiN dil waale magar bazm-e-t^arab meiN
mataae' dl ke qillat ho gae,i hai
suno dil kaa jahaaN weeraaN hai tab se
wafaa jab se tijaarat ho gae,i hai
naheeN teraa koee caanee hai "Naiyer"
Ghalat, logoN meiN shohrat ho gae,i hai

Ghazal :Khurshidul Hasan naiyer
teraa bas teraa maiN huwaa chaahtaa hooN
"tere i'shq kee iNtehaa chhaahtaa hooN"
mae,o jaam naa mae,y kadah chaahtaa hooN
maiN saaqee ki bas ek adaa chaahtaa hooN
tamannaa ragoN meiN lahoo ban ke doaRe
jawaanoN mien woh HoaSlah chaahtaa hooN
maiN tashnah labee kee shikaayat se behtar
sharaab-e-khudee hee piyaa chaahtaa hooN
nah saaHil pah meree nigaaheN lagee haiN
nah iHsaaN tereaa naakhudaa chaahtaa hooN
sitam gar meraa har sitam par kahe hai
jafaa kar rahaa hooN wafaa chaahtaa hooN
ho parwaaz ooNchee magar ghar nah bhoolooN
pariNdoN se yeh seekhnaa chaagtaa hooN
muHabbat kee kashtee hai baHr-e-kherad meiN
junooN maiN tumhaaree dua'aa chaahtaa hooN
kamaNdeN sitaaroN pa DalloN magar maiN
qadam bar zameeN bhee Tikaa chaahtaa hooN
khafa haiN woh mujhse a'jab waaqa'h hai
kuchh aHbaab se yeh sunaa chaahtaa hooN
de "Naiyer" ko dard-o-muHabbat kee doalat
nah kuchh or iske siwaa chaahtaa hooN

Ghazal :Khurshidul Hasan naiyer
qaid too hai wahaaN, qaid maiN hooN yahaaN
imtaHaaN, imtaHaaN, imtaHaaN, imtaHaaN
hai meraa ghar bhee us Dher ke darmeyaaN
uTh rahaa hai abhee tak jahaaN se dhuwaaN
kiyuN nah yeh dil ho maae,l tumhaaree t^araf
tum ho sheereeN zabaaN, tum ho jaadoo bayaaN
jisne looTaa nah bastee, han gulshan kabhee
usne chhoRaa mujhe bemakaaN bemakaaN
zindagee ke safar meiN har ek moR par
Haadicah, saaniHah, mas,alah, imtiHaaN!
khol detee hai yeh dukhte dil kee zabaaN
shaae'ree hai baRee cheez :Naiyer: miyaaN


Ghazal :Khurshidul Hasan Naiyer
diloN kaa dard Ghazal kee zabaaN meiN Dhaltaa hai
hamaare shaam-e-sukhan kaa chiraagh jaltaa hai
aseeree meiN hee sukoon hai, nah hee rehaaee meiN
nah Gham kee baat nah khushiyoN se dil bahaltaa hai
luTe chaman meiN bhee aahaT hai kiske pairoN kee ?
yeh koaN SeHn-e-gulistaaN ab Tahal taa hai
jab aainah thaa to kab shoaq tha saNwarne kaa
yeh ab jo TooT gayaa hai to haath maltaa hai
mazah to tab hai keh yeh juzw-e-zindagee ban jaae
wafaa ka zikr to har bazm meiN hee chaltaa hai
acar yeh soaz-e-darooN kaa hai bulbul-e-HairaN
har aek saaz pah yeh dil naheeN machaltaa hai
yeh intakhaab hai fit^rat ka warnah aye :Naiyer:
har aek phool camar meiN kahaaN badaltaa hai

Tuesday, March 24, 2009

Ghazal

is qadar insaan kyuN majboor hai
hoNT par muskaan dil ranjoor hai
jalwa-e-jaanaaN huwaa kaafoor hai
phir bhee yeh dil aas se ma'moor hai
jis ke dil meiN aaNch-e-Gham bharpoor hai
use ke chehre par numaayaaN noor hai
rukh shaguftah hoNt-o-lab makhmoor hai
waSf-e-maikhaanah kahaaN mastoor hai
dil meiN bebas ke machaltaa ek khayaal
shama' hai roshan magar be noor hai
phool ham tak aagayaa aye hamnasheeN
tum ne jo phekaa thaa patthar door hai
chaNd tare unkee zulfoN meiN sajaae,N
yeh kahaaN "Naiyer" meraa maqdoor hai.



غزل:خورشید الحسن نیر


GHAZAL :KHURSHIDUL HASAN NAIYER

tumse GhazloN meiN hai rawaanee bhee
Husn bhee i'shq bhee jawaanee bhee

pass tum the to hamko pyaaree thee
"raat bhee neend bhee kahaanee bhee"

dil pah kuchh likh gaee nigaah-e-naaz
phir kiyaa uskee tarjumaanee bhee

doastee kar to looN magar pahle
seekhlooN doastee nibhaanee bhee

daaGh-e-dil hai teraa a'jab qiSSah
Gham bhee too pyaar kee nishaanee bhee

mujh se mil kar kisee se mat milnaa
shart^ thee sakht, maiN ne maanee bhee

hai ta'luq to dar hee aae,Ngekuchh
gillah shikwah badgumaanee bhee

kuchh to faSl-e-bahaar kaa tha suroor
kuchh thee saaqee kee meharbaanee bhee

phool-o-shabnam kaa de rahaa tha pata
haaNkh se rukh pe Dhalkaa paanee bhee

log a'aajiz noh hoaN kaheeN tumse
chhoRo "Naiyer" yeh lantaranee bhee
Khurshidul Hasan Naiyer

Ghazal:Khurshidul Hasan Naiyer

gar meraa dard a'aam ho jaae,y
har koe,i khush kalaam ho jaae,y

zindagee shaad kaam ho jaae,y
un se bas ek salaam ho jaae,y

pyaar se sab raheN sadaa makhmoor
a'aam ulfat kaa jaam ho jaae,y

jism aazaad hai to kiyaa HaaSil
zehn-o-dil jab Ghulaam ho jaae,y

khol deN wo jo zulf shaanoN par
dopahar meiN bhee shaam ho jaae,y

ho khudee gar bulaNd tar apnee
saari shae,i hee Ghulaam ho jaae,y

ek hee fikr se hoN sab sarshaar
aisaa kuchh intaz^aam ho jaae,y

Akif-o-Raz -o- Malik ke ham raah
kuchh to Naiyer kaa naam ho jaae,y

aae,o :Naiyer: sajaaeN bazm-e-t^arab
aaj yeh ihtamaam ho jaae,y

Ghazal : Khurshidul Hasan Naiyer

Qaid too hai wahaaN, Qaid maiN hooN yahaaN
imtaHaaN, imtaHaaN, imtaHaaN, imtaHaaN
jisne looTa nah gulshan nay sahraa kabhee
usne chhoRaa mujhe be makaaN, be makaaN
kyuN nah yeh dil ho maae,l tumhaar t^araf
tumho shireeN zabaaN, tumho jaadoo bayaaN
ghar meraa gar jalaanaa hee maqSood thaa
kyuN uRaayaa gayaa is qadar phir dhuwaaN
zindagee ke safar meiN har ek moR par
Haadicah, saaniHah, masa,lah, talkhiyaaN
tere haathoN ko khooN meraa chhoohee gayaa
itnee ta,ceer rakhtee Hinaa hai kahaaN
khol detee hai yeh dukhte dil kee zabaaN
shaae'ree hai baRee cheez :Naiyer: miyaaN
Khurshidul Hasan Naiyer

ghazal:Khurshidul Hasan Naiyer



tera bas teraa maiN huwaa chaahtaa hooN
"tere i'shq kee iNtehaa chhaabtaa hooN'
mae,o jaam naa mae,y kadah chaahtaa hooN
maiN saaqee ki bas ek adaa chaahtaa hooN
tamannaa ragoN meiN lahoo ban ke doaRe
jawaanoN mien woh HoaSlah chaahtaa hooN
maiN tashnah labee kee shikaayat se behtar
sharaab-e-khudee hee piyaa chaahtaa hooN
nah saaHil pah meree nigaaheN lagee haiN
nah iHsaaN tereaa naakhudaa chaahtaa hooN
sitam gar meraa har sitam par kahe hai
jafaa kar rahaa hooN wafaa chaahtaa hooN
ho parwaaz ooNchee magar ghar nah bhoolooN
pariNdoN se yeh seekhnaa chaagtaa hooN
muHabbat kee kashtee hai baHr-e-kherad meiN
junooN maiN tumhaaree dua'aa chaahtaa hooN
kamaNdeN sitaaroN pa DalloN magar maiN
qadam bar zameeN bhee Tikaa chaahtaa hooN
khafa haiN woh mujhse a'jab waaqa'h hai
kuchh aHbaab se yeh sunaa chaahtaa hooN
de "Naiyer" ko dard-o-muHabbat kee doalat
nah kuchh or iske siwaa chaahtaa hooN
Khurshidul Hasan Naiyer
Thu Mar 12, 2009 7:25 am




Re: ek t^arHee Ghazal pesh hai

میرے والد محترم کے شعری مجموعے "گوھروخزف" پر ڈاکٹر احمد علی برقی اعظمی کے منظوم تاثرات


میرے والد محترم کے شعری مجموعے "گوھروخزف" پر ڈاکٹر احمد علی برقی اعظمی کے منظوم تاثرات

Monday, March 23, 2009

Ghazal: Khurshidul Hasan Naiyer




Ghazal #2 :Khurshidul Hasan Naiyer

:ek khwaab-e-shikastah kee ta'beer naz^ar aaee
:shaayad keh bahaar aaee zaNjeer naz^ar aaee:
haaN raaz-e-muHabbat kee tanweer naz^ar aaee
har saaNs taRapne kee taa,ceer naz^ar aaee
pur dard Ghazal lekar ham bazm meiN aae haiN
hamko too muHabbar jab dil geer naz^ar aaee
jab khoon-e-tamanna se sajne lagee deewaareN
tab dast-e-Hinaaee meN shamsheer naz^ar aaee
woh bazm-e-muHabbat ho yaa razm gah-e-ulfat
jis jaae too gayaa meree ta'meer naz^ar aaee
alHamd a't^aa teree teraa hai karam mujhpar
har zarre mieN bas teree taSweer naz^ar aaee
har gaam sitam gar ko aaeenah dikhaaeNge
:Naiyer: ko yahee bas ek tadbeer naz^ar aee

Ghazal #1

Ghazal #1
haiN aabaad sab quaid khaane tere
yeh aaNkheN teri zulfo shaane ter
huye riNdo saaquee deewaane tere
"sharabeN teree baadah khaane tere"
yeh Aushwa yeh ghamza yen naazo adaa
loobhane ke haiN sab bahaane tere
bichhe jaate haiN Taere ushahaq khud
KhaTa kaise hote nishaane tere
Ghazal maiN paDhooNga to yaad aayeNge
jawaani keh sapne suhaane tere
nah hotaa mere Gham kaa gar taZkirah
nah mashoor hote fasaane tere
wahee snag saari meN shamil huye
jo apne the: Naiyer: begaane tere

K.H.Nayier


Beradar e Aziz K.H.Nayier
ASAK
Mil gaii mujhko aapki tasveer
Ho nigahbaan katib e taqdeer

Jaisi soorat hai vaisi seerat hai
Khwab ki sach hai yeh mere taabir

Hai taqaddus ka khushnuma paikar
Rukh e anwar ki aapke tanveer

Aap se taalib e duaa hoon main
Hai duaaoon mein aapki taaseer

Zehn hai mera muntashir Barqi
Kaargar ab nahin koii tadbeer

Talib e Dua
Ahmad Ali Barqi Azmi