Monday, March 30, 2009

guzaarish #50 ke liye meree koshish:Tarhi Ghazal

muHtarmeenadaabt^rHee Ghazal pesh khidmat hai
dard-o-Gham, ranj-o-alam, Harmaai,yaaN
zindagee in sab ki hai parchhaai,yaaN
ho gai, rukhSat muHabbat bazm se
nafrtoN kee baj raheeN shahnaai,yaaN
khoaf kaisaa ho mujhe dushnaam kaa
i'shq meiN purkaif haiN ruswaai,yaaN
she'r goi, kaa hunar usne diyaa
saath hee woh de geyaa tanhaai,yaaN
faSl-e-gul aai, to yaad aai, mujhe
mehrbaaN teree karam farmaai,yaaN
qaid haiN sab waqt kee zanjeer meiN
jalwae, jaanaaN hoN ke ra'naai,yaaN
ghaT gayaa ab dard-e-dil i'shq-o-t^alab
baRh gai,N par anjuman aaraai,yaaN
dil kaa hay yeh ma'mlah :Naiyer: miyaaN
kuchh nah kaam aae,Ngee yaaN daanaai,yaan
Allah Hafiz
Khurshidul Hasan Naiyer

2 comments:

  1. Assalamo alaikum

    dil ki chahat dekho
    akhir tum mil hi gaye

    khoobsurat ho gaye ho aur ghazal bhi wayese
    tumhari ghazlon per kuch kehne ki salahiyat hum men nahi

    tum apni khairiyat wapsi dak se batana

    waise tumhara do khat aj bhi mere pas rakha hai jiska jawab nahi de saka

    ummeed karte hain ki ab shayad isi zariye se tum se bat hoti rahe gi

    yahan sab layeqe shukr hai
    duago
    tumhara
    naiyer

    ReplyDelete
  2. bhai naiyer

    salaam

    kiyaa Haal hai bhai. kaise ho. kiyaa naSeeb hai meraa bhee. yeh blog mere ek muHsin Dr. Ahmad A'li barqee Sb kee i'naayat hai. unkee is i'naayat ne tum se mulaaqaat karwaa diyaa. inshaa Allah mulaaqaat hotee raheegee. kabhe moqa' milaa to khurshidrizvi@gmail.com par chat ho saktaa hai.

    Allah Hafiz^

    ReplyDelete