Tuesday, March 24, 2009

Ghazal : Khurshidul Hasan Naiyer

Qaid too hai wahaaN, Qaid maiN hooN yahaaN
imtaHaaN, imtaHaaN, imtaHaaN, imtaHaaN
jisne looTa nah gulshan nay sahraa kabhee
usne chhoRaa mujhe be makaaN, be makaaN
kyuN nah yeh dil ho maae,l tumhaar t^araf
tumho shireeN zabaaN, tumho jaadoo bayaaN
ghar meraa gar jalaanaa hee maqSood thaa
kyuN uRaayaa gayaa is qadar phir dhuwaaN
zindagee ke safar meiN har ek moR par
Haadicah, saaniHah, masa,lah, talkhiyaaN
tere haathoN ko khooN meraa chhoohee gayaa
itnee ta,ceer rakhtee Hinaa hai kahaaN
khol detee hai yeh dukhte dil kee zabaaN
shaae'ree hai baRee cheez :Naiyer: miyaaN
Khurshidul Hasan Naiyer

No comments:

Post a Comment