Thursday, March 26, 2009

Ghazals :Khurshidul Hasan Naiyer

Ghazal :Khurshidul Hasan Naiyer
kisee kee ek i'naayat ho gae,i hai
unheN ham se shikaayat go gae,i hai
nah puchho lut^f tanhaae,i kaa yaaro
hameiN jab se muHabbat ho gae,i hai
chalaa chal jaanib-e-manzil tu aye di
l nigaahoN kee shafaaa't ho gae,i hai
taSawwur se tere aye jaan-e-jaanaaN
mo't^t^ar meree khilwat ho gae,i hai
saNbhaalo sheesha-e-dil ko saNbhaalo
naz^ar uThne kee saaa't ho gae,i hai
tere rukhsaar ke fiqre sunaa dooN?
mukammal ab tilaawat ho gae,i hai
haiN dil waale magar bazm-e-t^arab meiN
mataae' dl ke qillat ho gae,i hai
suno dil kaa jahaaN weeraaN hai tab se
wafaa jab se tijaarat ho gae,i hai
naheeN teraa koee caanee hai "Naiyer"
Ghalat, logoN meiN shohrat ho gae,i hai

Ghazal :Khurshidul Hasan naiyer
teraa bas teraa maiN huwaa chaahtaa hooN
"tere i'shq kee iNtehaa chhaahtaa hooN"
mae,o jaam naa mae,y kadah chaahtaa hooN
maiN saaqee ki bas ek adaa chaahtaa hooN
tamannaa ragoN meiN lahoo ban ke doaRe
jawaanoN mien woh HoaSlah chaahtaa hooN
maiN tashnah labee kee shikaayat se behtar
sharaab-e-khudee hee piyaa chaahtaa hooN
nah saaHil pah meree nigaaheN lagee haiN
nah iHsaaN tereaa naakhudaa chaahtaa hooN
sitam gar meraa har sitam par kahe hai
jafaa kar rahaa hooN wafaa chaahtaa hooN
ho parwaaz ooNchee magar ghar nah bhoolooN
pariNdoN se yeh seekhnaa chaagtaa hooN
muHabbat kee kashtee hai baHr-e-kherad meiN
junooN maiN tumhaaree dua'aa chaahtaa hooN
kamaNdeN sitaaroN pa DalloN magar maiN
qadam bar zameeN bhee Tikaa chaahtaa hooN
khafa haiN woh mujhse a'jab waaqa'h hai
kuchh aHbaab se yeh sunaa chaahtaa hooN
de "Naiyer" ko dard-o-muHabbat kee doalat
nah kuchh or iske siwaa chaahtaa hooN

Ghazal :Khurshidul Hasan naiyer
qaid too hai wahaaN, qaid maiN hooN yahaaN
imtaHaaN, imtaHaaN, imtaHaaN, imtaHaaN
hai meraa ghar bhee us Dher ke darmeyaaN
uTh rahaa hai abhee tak jahaaN se dhuwaaN
kiyuN nah yeh dil ho maae,l tumhaaree t^araf
tum ho sheereeN zabaaN, tum ho jaadoo bayaaN
jisne looTaa nah bastee, han gulshan kabhee
usne chhoRaa mujhe bemakaaN bemakaaN
zindagee ke safar meiN har ek moR par
Haadicah, saaniHah, mas,alah, imtiHaaN!
khol detee hai yeh dukhte dil kee zabaaN
shaae'ree hai baRee cheez :Naiyer: miyaaN


Ghazal :Khurshidul Hasan Naiyer
diloN kaa dard Ghazal kee zabaaN meiN Dhaltaa hai
hamaare shaam-e-sukhan kaa chiraagh jaltaa hai
aseeree meiN hee sukoon hai, nah hee rehaaee meiN
nah Gham kee baat nah khushiyoN se dil bahaltaa hai
luTe chaman meiN bhee aahaT hai kiske pairoN kee ?
yeh koaN SeHn-e-gulistaaN ab Tahal taa hai
jab aainah thaa to kab shoaq tha saNwarne kaa
yeh ab jo TooT gayaa hai to haath maltaa hai
mazah to tab hai keh yeh juzw-e-zindagee ban jaae
wafaa ka zikr to har bazm meiN hee chaltaa hai
acar yeh soaz-e-darooN kaa hai bulbul-e-HairaN
har aek saaz pah yeh dil naheeN machaltaa hai
yeh intakhaab hai fit^rat ka warnah aye :Naiyer:
har aek phool camar meiN kahaaN badaltaa hai

No comments:

Post a Comment